Haq jatane or na jatane ke darmiyan
Haq jatane or na jatane ke darmiyan ke fasle,
Na jane kab ye ek mor par akar tham se gaye.
Kahne koto hum khamos hai par,
Dil or Dimag ke bich ki ye guptguh,
Na jane kya kahana chahti hai.
Juba khamos hai,
Humare alfaz bhi humse ruswa se hai,
Yu to hazaro baate jahan main hai par,
Bayan karne ko alfaz hi nahi.
Logo ki is mehfil mai aaj,
Hum shamil hokar bhi na jane shamil ko nhi.
Ey asha si hai, ek dundhli si yaad,
Bhoot socha to samaj aaya,
Humare dost , Humara humsafar,
Duniya ki es bhir main kanhi kho se gaye.
~KumarSuraj
Comments
Post a Comment